Ek tha jangal | Us jangal mein ek sher bhojan karake aaraam kar raha tha. itane mein ek makkhee udatee -udatee vaha aa pahunchee. sher ne do - teen dinon se sanaan nahin kiya tha. isalie makkhee sher ke kaan ke aas paas bhinn - bhinn - bhinn karane lagee. sher ko bahut mushkil se neend aaee thee. usane panja uthaaya. makkhee ud gayee.... lekin phir se sher ke kaan ke paas bhinn bhinn shuroo ko gayee | ab sher ko gusasa aaya ! vah dahaada - are makkhee, door hat | varana tujhe abhee jaan se mar daaloonga | makkhee ne dheere se kaha - chhee chhee ...! jangal ke raaja ke munh se aisee bhaasha shobha nahin detee hai ? Sher ka gussha bad gya | usne kaha - ek to mujhe sone nahi deti, upar se mere samne jawab deti hai ! Chup ho ja....... varna abhi ......
Makkhi boli - varna kya kar loge ? mai kya tumse dar jaungi ? Mai to tumse lad sakti hu | Himmat ho to aa jao.......!
Sher aag babula ho utha | Usne kan ke pas panja mara | Makkhi to uad gyi par kan jara cheel gya | Makkhi udkar sher ki nak par baithi to usne makkhi ko fir panja mara | Makkhi ud gyi | Abki baar sher ki nak chheel gyi |
Makkhi kabhi sher ke mathe par baithti, kabhi gal par, to kabhi gardan par |
Sher panja marta jata or khud ko ghayal krta jata .......... makkhi to fat se ud jati |
Ant me sher ub gya thak gya | vah bola - makkhi bahan, ab mujhe chhodo | Mai hara or tum jeeti, bas |
Makkhi gamand me chur hokar udti - udti aage badi | Samne ek hathi meela | Makkhi ne kaha - Are Hathi..... mujhe Parnam kar..... maine jangal ke raja ko haraya hai | Isliye jangal me ab mer raj chalega | Hathi ne socha, is pagal makkhi se bahas krne me samay kon barbad kre |
Hathi ne sund upar utha kar makkhi ko parnam kiya or aage bad gya | Samne se aa rahi Lomdi ne yah sab dekha | Lomadi mand - mand muskrane lagi | Itne me makkhi ne lomdi se kaha - are o lomdi, chal mujhe parnam kr ! Maine jangal ke raja Sher or vishalkay hathi ko bhi hara diya hai |
Lomdi ne use parnam kiya | Fir dhire se boli ----